Google Ads kya hai ?
Google Ads ek product hai jiske through hum apne business ko bade he aasani se promote kar sakte hai , hum logo ki help kar sakte hai unke product ko sell karne me aur unki services ko sell karne me , logo ke prati awareness badha sakte hai , traffic ko kaafi increase kar sakte hai website par . Google Ads online manage kiye jaate hai jiske through aap apne campaigns kabhi bhi bana sakte hai aur kabhi bhi use change kr sakte hai.
Google Ads kaise kaam karte hai?
Hum logo ke Ads ko display karte hai jab log koi bhi products ya services search karte hai .
Aapke Ads show hote hai Google search , Google map pr aur bhi kai websites aur network pe.
Pr uske liye aapko kuch amount bhi pay karna padta hai tabhi aapka business kaafi tezi se grow karta hai .
Google Ads ke through Mobile Application kaise promote kare?
Aaj hum aapko bataney wale hai ki hum kis tarah apne Mobile Application ko Google Ads ke through promote kar sakte hai , ye trick ke madhyam se hum apni Mobile Application ko bahut he aaram se promote kar sakte hai . To iss blog me hum aapko kuch steps batane wale hai jiske madhyam se aap badi he aaram se apni Mobile Application ko Google Ads ke through promote kar sakte hai .http://dmtechexperts.com/
Kuch Important steps jiske madhyam se aap apne Mobile Application ko aasani se promote kar sakte hai Google Ads ke through
- pehle aapko Google Ads pe sign in karna hoga .
- fir page menu pe ja ke aapko left side Campaigns ka option dikhega waha click karna hoga .
- plus button pe click karne ke baad aapko new campaigns ko select karna hoga.
- campaign goal ke anusar aapko App promotion ko select karna hoga.
- Campaign subtype ke liye aap App engagement ko pick kare.
- apna App’s platform select kar le.
- fir search field me apne App ka naam , package ka naam aur apne publisher ka naam enter kare aur fir apne App ko select kr le list se, jo show ho rahi ho.
- fir aapko Continue pe click karna hoga.
- Campaign name ki field me aap apne campaign ke liye name add karna hoga.
- fir locations me ja kr aapko location target select karna hoga aur location options ko select karna hoga ye dekhne ke liye ki users ko target aur execute kaise kr rahe hai.
- languages ke under language settings update karni hogi . Bs app ye dhyan me rakhe ki Google Ads aapke ads ko translate nahi karega , to is liye aapko wahi languages target karni hogi jo aapke ads se match karti ho.
- budget ke under aap apna daily ka budget set kar le.
- choose kare aap kis tarah apne campaign ko optimize karna chahte hai , aur fir enter kare target Cost Per Action(CPA) pr.
- baad me aap Save and Continue pr click kare.
- fir aap apne Ad group ka name enter kare.
- Ad assets ke under minimum 2 headline ideas aur 1 description idea add kare .
- aap text images aur videos bhi add kr sakte hai.
- uske baad Add targeting ke under audience segments select karna hoga taaki aapko pata chal sake ki kaun se logo ko Ads dekhne chahiye.
- fir aapko apni audience choose karni hogi jinhe aapko target karna hai .
- fir aapko Save and Continue pe click karna hoga.
Process bahut he aasan hai Mobile Application ko promote karne ka Google Ads ke through aap apne kisi bhi client ka Mobile Application bade he aaram se Google ads ke through promote kar sakte hai upper diye gaye kuch steps ko follow karne ke baad .