Anganwadi recruitments avadan prakriya shuru
Aaj aapko hum batane wale hai ki Anganwadi ki recruitments ke liye kya karna hoga
Notification kab tak jaari kiye jayenge , form fill karne ki age limitations kya honi chahiye ,
Male ya female kaun iss recruitment form ko fill kar sakte hain , form offline fill karna hoga ya fir online fill karna hoga , kaun si website ke madhyam se aap iss form ko fill kar sakte hai , last date kya hogi form fill karne ki , education qualification kya honi chahiye iss form ko fill karne ki , Anganwadi Recruitment form filling ki fees kya hogi har ek cheez ke baare me batane wale hai hum aapko.
Anganwadi Recruitments ke liye notifications jaari kar diye gaye hai jo bhi candidates form fill karna chahte hai wo sabhi form fill kar sakte hai , form ki official notifications aapko official website ke madhyam se he mile jayegi aap official website pe ja ke notifications check kar sakte hai.
Iss recruitment ke tahet sirf Jhunjhunu district ki post ko he fill karwaya jayega aur sirf Jhunjhunu district ki Mahilaye he is recruitment form ko fill kar sakti hai . Aapko recruitment form
Official website se download karke Offline apply karna hoga. form
Anganwadi Recruitments ki Important dates kya hongi?
Anganwadi recruitments application form Offline mode ke madhyam se fill kiye ja rahe hai , Offline Application process 2 november 2022 se shuru kar diye gaye hai aur iss form ko fill karne ki last date 5 December 2022 batayi ja rahi hai jo bhi log interested hai wo sabhi Anganwadi Recruitment form ko 5 December 2022 tak fill kar sakte hai . To iss liye aap log time limit se pahle apna Anganwadi Recruitment form ko fill kar le .
Abb Hum log jante hai ki Anganwadi Recruitment form ko fill karne ki Age limitation kya honi chahiye?
Anganwadi recruitment form ko fill kane ki minimum age 21 rakhi gayi hai jabki maximum age limitation form fill karne ki 40 rakhi gayi hai , agar aap 40 ya fir usse kam age ki hai to fir aap Anganwadi Recruitment form ko fill kar sakti hai. Age ki calculation Official notifications ke madhyam se he kari jayegi, Age limit ko prove karne ke liye aapko application form ke sath apna birth certificate attach karna hoga .
Anganwadi Recruitments form fill karne ki Education Qualification kya honi chahiye?
Anganwadi Recruitment form fill karne ke liye Education qualification 10th pass honi chahiye. Kisi bhi recognized school se padhi hui candicate iss form ko fill kar sakti hai. Jo bhi female candidates interested hai form ko fill karne ke liye wo iss form ko bade he aaram se fill kar sakte hai.
Anganwadi Recruitments form ki fees kya hogi?
Anganwadi Recruitments form ko fill karne ki fees bilkul nishulk hai yani ke aapko koi bhi fees submit nahi karni padegi kisi bhi category ki candidates ko koi bhi amount pay nahi karna padega, aaplog bahut aasani se iss form ko fill kar sakte hai bina kisi tarah ki fees submit kiye kyuki ye bilkul nishulk hai. Iske baare me detail me jaane ke liye aap Official website pe notifications check karte rehna hoga.
Anganwadi Recruitments Form apply kaise kare?
Anganwadi Recruitments form offline mode me fill kiye ja rahe hai jo bhi candidates interested hai wo form fill kar sakti hai form aapko offline mode me he fill karna hoga, waise kuch steps follow karne padenge aapko iss form ko fill karne ke liye :
. pahle aapko WCD ki Official website pe visit karna hoga .
. uske baad aapko news & notification ke option pe click karna hoga .
. notification official website pe available hai waha se aap download kar le .
. recruitment ki information official notification pe mil jayegi usse step by step check kare.
. form ka print out ek quality paper par nikal le aur application fill kare.
. sabhi information attach karni hogi application form ke sath.
. application form complete karne ke baad aapko sahi address pe send kr dena hoga last date se pahle.
. application form ka ek print out zaroor nikal le.
Kuch Important links Anganwadi Recruitments ke liye
Official Website:-Click Here
Official Notification:-Click Here